Bombay Talkies-hindi-1913
bombay talkies haan bombay talkies apna cinema haan bombay talkies sapnon ki taksaal hai yeh duniya bemisaal hai sab kehte maya jaal hai yeh jo bhi hai kamaal hai jo film na ho yaar sun lo toh jeena ho bekaar sun lo har dil ki dhadkan hai apna bombay talkies
yeh sikhlani hai pyaar sun lo aur dhisham dhisham maar sun lo hum sabka jeevan hai apna bombay talkies bombay talkies haan bombay talkies arey har dil ki dhadkan hai apna bombay talkies bombay talkies haan bombay talkies
kahaaniyan nayi nayi sitaare laayi saath geeton ki saugaat aaina hamein dikhlaaye andheron mein rang khile ameer ya gareeb dost ya raqeeb sabka man behlaaye aansoo ya muskaan sun lo yeh india ke hai praan sun lo
sab rang ka darpan hai apna bombay talkies bombay talkies haan bombay talkies aray har dil ki dhadkan hai apna bombay talkies bombay talkies haan bombay talkies
jeena yahaan marna yahaan iske siwa jana kahaan aray hum hain wahin hum the jahaan sau baras ka hua phir bhi hai jawaan ho apna cinema rahega sada hi yeh jawaan parde pe chamatkaar hai yeh chadta sa bukhaar hai sur pe junoon sawaar hai khwaabon ka kaarobar hai action emotion naap sun lo sab hit hai chahe flop chun lo dil ke chedhega taar sun lo dekhenge baar baar sun lo
celullite digital apna bombay talkies talkies talkies talkies talkies picture hi culture hai apna bombay talkies arey har dil ki dhadkan hai apna bombay talkies bombay talkies haan bombay talkies sau baras ka bombay talkies dekho re dekho re