Swades-hindi-1913
Lyricists:
Javed Akhtar
umm hmm dekho na zara dekho na tum ho mai hu aur ye tanhaiya hai dekho na zara dekho na kaisi narm si ye parchhaiya hai suno zara suno zara dhadkano ki sada suno zara suno zara geet khamoshi ka suno zara suno zara kehti hai raat kya
raat hai leke aayi kitne arman anjane kehti hai sau afsane sunta hu mai raat ne li angdai anhoni baat hai hoti bikhre hai jaise moti chunta hu mai tumne ye kya keh diya meri aankho me diye hai jaise jal gaye tumne ye kya keh diya meri raato ke andhere jaise dhal gaye
tumse hi to milke maine jana hai sapne kya hote hai ho tumse hi to milke maine jana hai dil kaise khote hai oh
chandni se pyari mujhko in palko ki chhao tumne basaya mere dil me ik sapno ka gao
tumne mujhko chaha to mausam rang chhalkata hai har pal ji ab gata hai mere liye
tumne mujhko chaha to jivan ki sari raahe khole hai apni bahe mere liye
dekho na zara dekho na tum ho mai hu aur ye tanhaiya hai dekho na zara dekho na kaisi narm si ye parchhaiya hai
hmm tum bin din sune the raate suni thi virani thi chhayi oh ab jaise din chamke raate mehki hai tum ho jo hamrahi oh
tum bin jaise mai thi adhuri puri ho gayi hu mai tumko pake jag paya hai par khud kho gayi hu mai
ham dono ne ab jaana jeene ka matlab kya hai pehle kya thi ab kya hai ye zindagi ham dono ne ab jaana duniya kitni pyaari hai payi kitni saari hai hamne khushi
dekho na zara dekho na tum ho mai hu aur ye tanhaiya hai dekho na zara dekho na kaisi narm si ye parchhaiya hai
suno zara suno zara dhadkano ki sada suno zara suno zara geet khamoshi ka suno zara suno zara kehti hai raat kya