Duniya ne mujhe

Duniya ne mujhe

Vishwanath-hindi-1913

duniya ne mujhe tadpaya kismat ne mujhe uljaya mere pyar ne mujhko sataya mere yaar ne mujhko rulaya to meri janam kundali meri janam kundali dekh ke itna to batalade jogi tod ke bandhan prem deewani preetam ki kab hogi meri janam kundali dekh ke itna to batalade jogi tod ke bandhan prem deewani preetam ki kab hogi

are janam kundali bhul ke bala karam kundali pe aa ja jo baato se na mana vo lato se ab manega ye preet bani kyu dushman ye pyar kaha le aaya najuk ye dil ka sheesa iss pathar se takraya

kab vakt ka palate pasa aise bhi mod aate hai dil ke najuk sheese se pathar bhi tut jate hai are vakt pyar ke dushman ko din me taare dikhala dega jo baato se na mana vo lato se ab manega

uski mahfil me dil bandiye sone chandi ki janjeere vo kagaz ke tukado pe likhta hai pyar ki taqdeere sone chandi ki maaya taqdeer kya badlegi toofan uthega aisa kagaz ki naav dubegi

jab paani sar chad jaye sailab aata hai jab paap bad jaye to sab dubh jata hai koi ravan ad jaye to fir raam aata hai jab raam fas jaye to hanuman aata hai pyar agar jid pe aaya to paani me aagh laga dega jo baato se na mana vo lato se ab manega

meri janam kundali dekh ke itna to batalade jogi tod ke bandhan prem deewani preetam ki kab hogi

are janam kundali bhul ke bala karam kundali pe aa ja jo baato se na mana vo lato se ab manega