Ek baat main apne dil

Ek baat main apne dil

Diljale-hindi-1913

Lyricists:

 Javed Akhtar

Music Directors:

 Anu Malik

ek baat mein apne dil main liye kya jane kab se phirta hoo ab tum hi batado ye mujhko wo baat main tumse kise kahu jo mujh ko tumse kahani hai ye baat agar wo hai ki jise sunte he pigal jate hai dil ye baat agar wo hai ki jise sunte hee mile khoi manjil wo mujko tumse sunni hai

wo baat mere dil main hai magar hothon pe nahi aapati hai kabhi labz nahi milte mujh ko awaaz kabhi ruk jati hai wo mai baat kahu to kise kahu badhti dhadkan behati nazare uljee sanse kahe deti hai jo baat nahi kahe paate tum use ye bate kahe deti hai tum kuch na kaho main sunti hu

wo baat agar tum jaan gayee to socha kya hai ye to kaho main tumse khul ke keh na saka par tum to yu ghumsum na raho tum kuch to kaho tum kuch to kaho

tum mujhko nahi pahechaan sake par mai tumko pahechaan gayi wo baat kaho ab ya na kho main sune bina hi jaan gayi kuch aur agar kahe na hai kaho sach pucho to kuch kahne ki sun ne ki kaha jarurat hai ye baat hi jab tum jaan gayi ke mujko tumse mohabaat hai ha mujko tumse mohabaat hai

mujko bhi tumse mohabaat hai haan mujko tumse mohabaat hai