Gali Gali Chor Hai-hindi-1913
yeh sab mann ke bhi hain kaale – 2 kya baat hai bhaiyya kya baat hai mere ghar mein hi rehte hain mera ghar lootne wale dil ki baat keh di hai bhaiyya dil ki baat jo cheezein junglon ki hai unhe jungle mein rehna tha woh ab dilli mein rehte hain jihne chambal mein rehna tha jihne chambal mein rehna tha nikaalo nikaalo inn bayimaano ko
gali gali chor hai gali gali chor hai corruption corruption corruption ka shor hai choron ka zor hai choron ka zor hai choron ka daur hai choron ka daur hai choron se bandhi hui choron ki dor hai – 2 gali gali chor hai gali gali chor hai abhey minyan sacchi baat boli hai tune
corruption ne likhi hai saari kahani – 2 bina ghoos khori na bijli na paani – 2 yahan saans lene ki keemat lagey gi gharon se nikalte hi rishwat lagey gi yahan aam logon ka hai yeh mukadder na kuch ghar ke baahar na kuch ghar ke andar – 2 na nehru ka sapna salamat raha hai na gandhi ka charkha salamat raha hai aadalat kachehri yeh vardi yeh thaane chalate hain rishwat ke sab kaarkhaane sab kaarkhaane disha koi bhi ho looteron ka zor hai – 2 gali gali chor hai gali gali chor hai
yeh topi yeh dhoti yeh kurte pajame yeh kurte pajame sab inke natak hai sab inke dramein sab inke dramein sab inke dramein koi inn se keh de garebaan mein jaanke dua hai ke khul jaaye dilli ki aankhein ladaayi abhi humko rakhni hai jaari hai azaadi ab tak adhoori hamari adhoori hamari siyaasi looteron ka kaisa yeh daur – 2 gali gali chor hai gali gali chor hai – 2
burjan hai yeh corruption dushamn hai yeh corruption apni aayodha mein raavan hai yeh corruption rail ki patriyon pe daude hai yeh corruption sacchiayion ke sheeshe todhe hai yeh corruption jaane kahan se aaya kisne yeh seib laya kheton mein apni aakhir yeh zehar kyun ugaya koi haqeem laayo koi dawa pe laayo habeez ko baandho iss booth ko baandho
inn brashtachaariyon ko dhan ke pujaariyon ko pakad ke inn ko jail mein daalo desh ko apne inn se bacha lo – 3 gali gali chor hai gali gali chor hai corruption corruption corruption ka shor hai