Bobby-hindi-1913
–male– baahar se koi andar na aa sake andar se koi baahar na jaa sake socho kabhi aisa ho to kya ho – 2 hum tum ek kamre mein band ho aur chaabi kho jaaye – 2
–female– tere nainon ki bhoolbhulaiya mein bobby kho jaaye hum tum ek kamre mein band ho aur chaabi kho jaaye
–male– aage ho ghanghor andhera
–female– baba mujhe darr lagta hai
–male– peechhe koi daaku lootera
–female– hm kyoon darra rahe ho
–male– aage ho ghanghor andhera peechhe koi daaku lootera upar bhi jaana ho mushkil neeche bhi aana ho mushkil socho kabhi aisa ho to kya ho – 2 hum tum kahin ko jaa rahe ho aur rasta bhool jaaye
–female– o ho
–male– hum tum kabhi ko jaa rahe ho aur rasta bhool jaaye
–female– teri baiyaan ke jhoole mein saiyaan bobby jhool jaaye
–both– hum tum ek kamre mein band ho aur chaabi kho jaaye
–female– aa ha aa ha aa aa aa aa aa aa aa aa aa basti se door parbat ke peechhe masti mein choor ghane pedon ke neeche andekhi anjaani si jaga ho bas ek hum ho duji hawa ho socho kabhi aisa ho to kya ho – 2
–male– hum tum ek jungle se guzre aur sher aa jaaye – 2
–female– sher se main kahoon tumko chhod de mujhe khaa jaaye hum tum ek kamre mein band ho aur chaabi kho jaaye aise kyoon khoye khoye ho jaage ho ke soye hue ho
–male– kya hoga kal kisko khabar hai thoda sa mere dil mein yeh darr hai socho kabhi aisa ho to kya ho – 2 hum tum yunhi hans khel rahe ho aur aankh bhar aaye – 2
–female– tere sar ki kasam tere gham se bobby mar jaaye
–male– hum tum ek kamre mein band ho aur chaabi kho jaaye
–female– tere nainon ki bhoolbhulaiya mein bobby kho jaaye
–male– hum tum
–female– hum tum
–male– ek kamre mein band ho
–female– ek kamre mein band ho
–male– aur chaabi kho jaaye
–female– aur chaabi kho jaaye
–male– aur chaabi kho jaaye
–female– aur chaabi
–male– kho jaaye
–female– kho jaaye