Kal jisne janam yaha paya

Kal jisne janam yaha paya

Vivah-hindi-1913

kal jisne janam yaha paya kal jisko zulene zulaya – 2 najdik sulaya godi me uthaya kandhe pe ghumaya jise chalna sikhaya kya ye wohi ladka hai – 4

kal tak jo nanhi si lali thi komal si juhi ki kali thi – 2 wo totali boli are kitani bhali thi wo jiske sima bas ghar se gali thi kya ye wohi ladki hai – 4

prep se lekar primary tak primary se phir dasavi tak school me choda schoolse laya barso maine ye niyam nibhaya is ghar me bholu jo kehlata tha teacher se bhji jo sharmata tha dekh aapki ladki ko dil jiska dhadaka hai jiske jawa sine me aaj ek shola bhadka hai kya ye wohi chhutka hai kya ye wohi ladka hai

ha ye wohi chhutka hai ha ye wohi ladka hai

titaliyo ke piche jo dauda karti thi pariyo ke chitro me rang bharti thi kab ye kali se phool ban gayi prem si jodi prem ki dori kab mai bhudha hua na jana jane kab ye ho gayi kishori gudiyo ki shadi kal jisne rachayi honewali hai kal jiski bidayi milke jise mere shehjade ki tabiyat fadki hai milke jise chote sahab ki tabiyat fadaki hai kya ye wohi ladki hai – 2 ha ye wohi ladki hai bahu aapke ghar ki hai

chuna ek duje ko tumne lakho me karodo me joda amar ho tumhara pyaar bhare jodo me mausam aaye mausam jaye tumhara jivan aur sajaye samay ki dhara me hum to beh jayenge hamare bol tumhare sang reh jayenge woh maryadaye woh paramparaye jo humne nibhayi woh ye bhi nibhaye bas yahi kehna hai bas yahi kehna hai – 3