Mere samnewalee khidkee me

Mere samnewalee khidkee me

Dil Vil Pyar Vyar-hindi-1913

barsat bhee aakar chalee gayee badal bhee garajkar baras gaye – 2 par usakee ek jhalak ko ham ai husn ke malik taras gaye kab pyas bujhegee aankho kee din rat yeh dukhda rehta hai mere samnewalee khidkee me ek chand ka tukda rehta hai – 2 afsos yeh hai ke woh hamse kuchh ukhda ukhda rehta hai mere samnewalee khidkee me ek chand ka tukda rehta hai

jis roj se dekha hai usko ham shamma jalana bhul gaye – 2 dil thamke aise baithe hain kahee aana jana bhul gaye abb aath paher inn aankho me woh chanchal mukhda rehta hai mere samnewalee khidkee me ek chand ka tukda rehta hai – 2 afsos yeh hai ke woh hamse kuchh ukhda ukhda rehta hai mere samnewalee khidkee me ek chand ka tukda rehta hai