Azaad-hindi-1913
Lyricists:
Rajendra Krishan
Singers:
Lata Mangeshkar
kabhee kamosh rehte hain kabhee ham aah bharte hain kisi ke waste kya kya sitam iss dil pe karate hain
jo woh najaro me najren dal kar khud hamse yeh puchhen toh dil pe hath rakh kar ham bhi kah de kya tum pe marte hain wah wah wah… subahan allah… pee ke daras ko taras rahi ankhiya – 2 taras rahi ankhiya baras rahi ankhiya – 2 pee ke daras ko taras rahi ankhiya
koyi kadmo me unake ja ke rakh aaye mere dil ko ke unake samane khulati nahee jalim jaban meri pee ke daras ko taras rahi ankhiya – 2 taras rahi ankhiya baras rahi ankhiya – 2 pee ke daras ko taras rahi ankhiya
kisi kaa ho ke bhi usse juda rehna hee padta hai mohabbat ne diya jo gham woh gham sehna hee padata hai aa kaha tak dard-e-dil koyi chhupaye apne sine me tadap uthata hai jab yeh dil toh yeh kahana hee padata hai kya pee ke daras ko taras rahi ankhiya – 2 taras rahi ankhiya baras rahi ankhiya – 2 pee ke daras ko taras rahi ankhiya