Refugee-hindi-1913
jee khade khade kya dekh rahe hain aap kamal hai us chand ko toh ghanto dekhta raha usne ek bar bhi nahi toka toh chaand ko hi dekhiye naa hmm magar woh saans nahin leta
raat ki hatheli par chand jagmagaata hai – 2 uski narm kirnon mein tumko dekhta hu toh dil dhadak sa jaata hai – 2 raat ki hatheli par chand jagmagaata hai – 2
tum kahan se aayi ho kis nagar ko jaaogi – 2 sochta hu main hairaan chand jaisa yeh chehra raat jaisi yeh julfein hain jagaaye sau armaan ek nasha sa aankhon mein dheere dheere chhaata hai raat ki hatheli par chand jagmagaata hai – 2 uski narm kirnon mein tumko dekhta hu toh dil dhadak sa jaata hai – 2 raat ki hatheli par chand jagmagaata hai
meri is tanhai mein mere is veerane mein – 2 rang leke tum aayee phir bhi sochta hu main kya yahan tum sach much ho aa aa ya ho sirf parchhayee khaab jaise banata hai aur tut jaata hai raat ki hatheli par chand jagmagaata hai – 2 uski narm kirnon mein tumko dekhta hu toh dil dhadak sa jaata hai – 2 raat ki hatheli par chand jagmagaata hai – 2